Monday, November 24, 2008
Guruji's message at 'Brahmanaad'. Nov' 2008 Delhi
Sangeet aur adhyatma, dono jeevan mein samrasta late hain
Dhyaan antar maun aur antar sangeet ko paida karta
Toh sangeet se mann shaant hota hai, sharer ko takat milti hai
Hamra yeah shauk tha ki asambav ko sambhav karna
Jab bhi humne kaha ki, kayee sitar ek saath bajayenge, loog toh hume yehi kehete rahe ki yeah asambhav hai…yeah toh hoga hi nahi….
Maine kaha nahi ‘asambhav ko sambhav karna yehi yog ki shakti hai’
Ek saath itne saare sitar jab bajate hain toh sirf naad nahi hota “Brahm Naad” hota hai woh
Toh humne kaha iska naam rakhte hain ‘brahma naad’
Hum 100 crore ke aabadi wale, hume delhi mein hi milna chahiye 1000 sitar-vadak, magar aisa nahi huwa….pure Hindustan mein khooj ke sabko yahan laana parda.
Yeah khabar yeah de rahi hai, humne aapni sangeet aur sanskriti ko nazar andaza kar diya hai …usko jitni pramukhta deni chahiye , praukhya deni chahiye woh nahi de rahein hain….
To iss kareyagram ke jariye, hum yeah jaane hum aapne baccho ko shartriya sangeet padhayeen. Hamari sanskriti ko aur ujjwal Karen. Shastriya sangeet ko zinda rakhna hai humen…yahan dekhen aap 6 saal ke bacche se le kar 77 saal ke vidwan tak sab maujood hai ….
Ek kahavat hai – kavya shastra vinodak alok gacchate dhimata
Buddhiman ka laxan hai ki woh sangeet mein, shastra mein, kavya mein, vinod mein, dhyaan mein aapna samaye vyatit karta hai...
Aur murkh hai, woh vasan mein, jhagade mein, jhanjhat mein, sab taraha ki chugli karne mein, samasya paida karne mein lage rehete hain. Ab yeah bhaut jaruri hai hamare desh mein, loog buddhiman ban jayeen….kavya Shastra vinod mein aapna samaye bitane lag jayeen…
You know there is a saying…that an intelligent spend a time in music, in art, in poetry, in prose, in philosophy and in meditation
And foolish people spend their time in useless conversation, like fight and quarrels and habits like tobacco and other things.
So I would like youth here…more and more youth to learn the classical music. It’s a unique gift to the world. A classical music is unique in itself, it uplifts the spirit…hamari cheetna ko jagane mein shastriya sangeet bhaut madad karti hai…
Toh yeah Brahm Naad sabke liye ek ahavan hai…
Sabse pehele ‘annam-brahma’ kaha hai hum logon ne ..hamare desh mein…bhojan…ann upjo, ann brahma hai….bhagwan ko kahin aur khojne mat jaoo…ann paida karo….’anne brahme tejana’…ann ko brahma mano…hamare upanishadon mein iss par khob udgar kiye hain
Phir ‘prana-brahma’ prana par upasna karo…pranayam karo, dhyaan karo, isse jeevan ki jyoti ko jagao,
Phir ‘naad-brahma’…naad mein aapne aap ko ghul-mil jaana…uss layee mein doob jaana.. woh Samadhi lagne lagti hai…
Phir ‘vigyaan-brahma’ vigyaan bhi brahma hai
Phir chalk ke anubhuti hone lagti hai… ‘anadam-brahma’ pragyaanam-brahma, anandam-brahma ...iss taraha se...hum loogon ne jo parikalpana kari hai…jivan ki evolution…jivan ki pragati ki…lakshya ki…woh anuta hai…
Aaj hum aise ghardi par kharden hain…yadi hum sanskriti ko aaj hum bachayenge…hamre jo puritan vigyao ko abhi bachayenge toh bachega….issliye mein inn sab…jitney sitar vadak hai…inn sabko dhanyavaad deta hoon…aaj-kal kam loog sunte hain shastriya sangeet…phir bhi inhone aapni abhi ruchi se shastriya sangeet sikh kar ke …khub bhi uss mein rass le rahein hain…aur auron ko ras dene ka ek sankalp le kar woh loog chalen hain …jarur inka jo yeah praytna hai…yeah safal rahega…aur hamare bade-bade vidwan hai….vigrat hai…shiv-kumar ji jaise..aap sab-loogon ka ashirwad toh rahega hi yahan par….toh desh ki sanskriti ko baachana hai toh….sangeet ko bachao…rehen-sehen ko bachao…khan-peen ko bachao….aur yeah vyvahar hai hamara….bhartiya vyvahar mana….madhur vyvahar hai….bharat ek hi desh hai duniya mein jo kisi aur desh par kabhi hamla nahi kiya…aisa ek ahinsa ka…satya ka…sanskriti hai…hamari sanskriti…iss sanskriti ko sangeet ke jariye…yog ke jariye…pranayam aur….dhyaan ke jariye…..isko aage uthayee….
3 comments:
Thank you for sharing. Good site, keep sharing. You can connect with me on www.rajeshjagasia.com. Also would like to know how one adds the feature of bookmarking a post!!
Love,
Jaigurudev,
Rajesh Jagasia
jgd Vikram Bhaiya, thanks for Satsang lyrics..
It really helped me and my family..
May Guruji showers lots of blessings on you.
Aditi.
jgd Vikram Bhaiya .. Thanks for the Satsang Lyrics..
It really helped me and my family.
May Guruji showers lots of blessings on you.
Aditi
Post a Comment